Saturday, August 7, 2010

Bachpan Ka Zamana Hota Tha

bachpan ka zamaaana hota tha, khushiyon ka khazana hota tha
chahat chaand ko pane ki, dil titli ka deewana hota tha
khabar na thi kuch subah ki, na shaamo ka thikana hota tha
thak-haar ke aana school se, par khelne bhi jana hota tha
dadi ki kahani hoti thi, pariyo ka fasana hota tha
baarish mein kagaz ki kashti thi, har mausam suhana hota tha
har khel mein sathi hote the, har rishta nibhana hota tha
papa ki wo daate galti par, mummy ka manana hota tha
gham ki zuban na hoti thi, na zakhmo ka paimana hota tha
rone ki wajah na hoti thi, na hasne ka bahana hota tha
ab nahi rahi wo zindagi jaisa, bachpan ka zamana hota tha

No comments: